1 Jan, 2018 → by ClaimboUser814385
1. battery backup problem.2. system gets restart while normal working.
*SOLVED

3

Dear sir/mam, namaste mein devendra singh hoon, sir meine 01-01-2010 ko home town noida se acer aspire-4530, purchase kiya tha, abhi mere laptop mein kuch problem aa rahi hai. 1. Battery backup problem. Sir battery problem ye hai ki mere full charge karne ke baad is battery ko aaj hi use karta hoon to mere liye koi problem nahin aati hai {is battery ko aaj hi regular use karta hoon to us battery se mere laptop ko 1.30hours ka backup mil jata hai} meri main problem yahi hai ki isi battery ko aaj full charge karne ke baad, aaj ke din mein use na karte hui kal shaam ya parson ko use karta hoon to us battery ka backup samaapt ho jaata hai, yaani itna bhi power nahin hota hai ki mein laptop ko switch on kar paoon... Isi problem ko lekar mein lajpat nagar acer service center mein do baar gaya, pahli baar mere dwaara ye problem bataaye jaane per service center waalon ka kahna hai ki hamaare cheke karne ke baad aapka laptop 1.30hours ka backup de raha hai is halat mein hum kuch nahi kar sakte hain... Us din mein waapas aa gaya... Lekin mere laptop mein baar baar wahi problem aane ke baad mein bhi ghar per hi kyun bethta, main dobaara... Isi problem ko lekar lajpat nagar acer service center mein gaya aakhir hona kya tha.. Service centre waalon ka kahana hai ham cheke kar lete hain, us samay to wo mujhe wahan se bhaj dete hain lekin shaam ko jab result nikalta hai to unka kahna hai phir aapke laptop ki battery 1.30hours ka backup de rahi hai yaani aapki battery bilkul sahi hai... Dear sir/mam ab aap hi bataayen battery mein agar problem na hoti to ya backup agar hota to uska chaarge kahan chala jaata hai, wahi full charge kari hui battery kal shaam ya parson ko laptop kyun nahin switch on kar paata hai, aise to maine kai laptop chalaaye hue hain unka battery backup 10ya 15 dino tak bhi rahta hai, sir/mam mere acer ke is laptop mein aisi problem kyon aa rahi hai agar battrery main problem hai to use change kar dijiye ya kuch aur problem hai to use jaldi se jaldi thik karne ka kast karein, mein is laptop se bahut pareshaan ho chuka hoon, aur laptop abhi bhi lajpat nagar acer service center mein rakha hua hai... Thanks... Devendra singh. 2. System gets restart while normal working. Sir/mam meri doosri sabse badi problem yahi hai ki mere use karte karte laptop kai baar restart ho jaata hai, yahi problem ko maine lajpat nagar acer service center main bataai to unka kahna hai ki windows problem hai, maine dono windows xp, bhi aur windows 7 bhi daalkar cheke kar liya hai tab bhi yahi problem aati hai, sir jo windows mere laptop mein padi hui hai wahi windows mere office ke laptop mein padi hui hai lekin usme to aise restart hone ki kabhi bhi problem nahin aati hai... Maine acer service center waalon se bhi is baare main kai baar baat ki, lekin unka kahna hai ki windows problem hai aur bettery ke liye bettery ham change nahin kar sakte hain uske liye aapko hamaare senior se baat karni hogi... Isi liye in problem ke liye main aapko ye complain kar raha hoon... Meri in problem ko jaldi se jaldi solve karne ka kast karein... Thanks...... Iam waiting for your answer... Devendra singh.
Helpfull? 0 votes

Post your comment:



Do you want to help? Probably you've just been in a similar situation, know the solution and want to help? Perhaps you are just a kind person who has advice on the merits. Please write your comment — you can do a good breed.

If you are actual Representative of Acer you can contact the user using the comment form and help resolve the situation. The user can always mark his complaint as "resolved". Maintain your brand image, it is FREE.

Copyright © 2023 CLAIMBO.COM. All rights reserved.